Thursday, February 19, 2009

CHRYSALIS HAI MERA PRIYATE!
Kahan kho gaya hai tu bheed mein
Kyon ban gaya hai tu fakir re..
Kab tak mere dost tu kitabein padega??
Kab tak sachhayi se darega???
Kab tak bahane banata rehega???
Ye tyohar hai tera hi to re.....
Chrysalis hai naam mere priyate.

Kisne khoya kisne paaya
Kya in sawalon ne tereko sataya??
Dost...khel ka hai maidan garam
Chrysalis mein bhaiya hai dum
Neki kar dariya mein daal...
Chal ab mails/scraps daal ke sabko bata
Kyonki.... Ye tyohar hai tera hi to re.....
Chrysalis hai naam mere priyate.

Manana chahta hai aaj hi?
To maan le ...tyohar ka din aaj hi hoga
Par dil ko chein tabhi aayega...jab tu kuch kaam karega
Kyon kaam karne se katrata hai re...
Ye tyohar to hai tera hi re.....

Naa jaane dil kyon chahta hai
Ki dikha dein duniya ko hum
Liba hai no. 1
Chrysalis hai ek maadhyam

To aayo doston...jo chalein ab na rukenge hum
Chrysalis ke success se pahle ab na thakenge hum...
Jeet usi ki hogi...jo antt tak ladega
Uthja mere dost....kab tu kuch kaam karega!!

---- Gurpal Singh-----
LIBA PGDM 2008-10 BATCH

No comments:

Post a Comment